Moore piya
•Writer:-preet
~part 4~
Kisi ke aane ki aawaz sunkar harsh buri tarah darr jaata hai tabhi darwaza khatkhatane ki aawaz aati hai
"Uth jao clg nhi jaana hai"
Harsh ki maa ki aawaz hoti hai unki aawaz sunke harsh ko thodi raahat milti hai harsh aawaz lagata hai jaana hai maa bus ready hone wala hoon
Itna keh kar nirmla ji chali jaati hai
Anagth:- tum ek dum itna darr gaye the lekin aawaz sunke mene dekha tumhe thodi chain ki saans aayi tumhe lgga tumhara bhai aaya hai sahi kaha naa
Harsh:-haan mujhe lgga sparsh bhai aaye hain
Angath:-tum usse itna drte kyu ho
Harsh chup ho jaata hai ek dum ke liye
Angath:-dekho harsh mai nahi janta ki woh tumhare saath aisha kyu karta hai lekin itna jarur janta hoon ki kisi ko bhi haq nhi hai tumhare saath iss trha krne ka kisi ko mtlb kisi ko bhi nahi
Harsh angath ki tarf dekhta hai aur chehra dusri tarf kar leta hai
Anagth:-ek wadda chahta hoon mil skta hai
Harsh:-kaisa wadda
Angath:-khud ke saath ab se galt nhi hone dooge tum bus yahin wadda Chahiye
Harsh:-wadda karta hoon
Angath:-ab jaldi se tayar ho jaao warna clg ke liye late ho jaoge aur aj se clg mere saath jaoge
Harsh:-lekin mujhe toh driver bhaiya chor ke aate hain
Anagth:-toh kya huya jo paise unhe dete ho unn paisoon se hum acha sa bada sa sundar sa hellycopter khardenge jisme baith kr hum paris ghumne jayenge
Harsh:-itne ghatiye joke bnana kahan se sikha waise
Anagth:-apne papa se
Harsh:-ohhh hope uncle ke jokes iss se thode ache ho
Anagth:-bus kar pagle rulayega kya unke joke sunke toh insaan paanch din tak khaana naa khaaye ek hum he deeth the jo din mai 5 baar kha lete hain
Harsh:-mujhe lgta hai ap mujhe ab late karwaoge clg se
Angath:-pehle ghar pe bolo ki mai aj se khud clg januga bus se
Harsh:-lekin bhaiya
Angath:-unse jitna daroge woh utna tumhe drange iss liye unse matt darro
Harsh:-chaliye ready ho jayie
Harsh jaldi nhane chala jata hai aur aayine ke samne ready hone lgta hai
Angath usse piche se dekh reha hota hai
Harsh:-kya dekh rahe ho
Angath:-soch raha hoon kuch
Harsh:-je kamm bhi kr lete ho ap
Angath:-kyu mai soch nhi skta
.. smjha kya hai tumne mujhe
Harsh:-banda
Angath:-bol do poora bol do banda ke piche r lgga ke mujhe bandar bolne wale the
Harsh:-kya ajeeb ilzaam hai mai kyu bolunga aisha ap bandar kabhi nhi ho sakte
Angath:-toh phir kya ho skta hoon
Harsh:-soch ke btaunga ab chale clg
Angath:-nahi rehne do kyu jaana clg yahin reh loo
Harsh:-clg jayenge toh degree layenge tabhi ghar basayenge
Angath:-wahh kitni door ki soch hai bhagwan aishi soch sabko de
Harsh:-taunt marna hai toh sidha mar lo tareef mai kyu marr rhe ho
Angath paani ke glaas pakad usme se kuch paani ki bundeen nikalta hai aur harsh pe girra deta hai
Angath:-lo sidha marr diya ab toh koi shikyat nahi hai naa
Harsh:-15 minute bache hai clg mai mujhe late krwa ke maanoge
Anagth:-ab ache bache ki trha niche jao aur aunty se bolo mai aj se khud jaunga jao
Harsh kuch sochne lagta hai
Anagth:-agar iss baar usne tum pe haath utahaya toh dekh lena...iss liye bol raha hoon khud rokna usse
Harsh haan mein sirr hilata hai aur niche chala jaata hai
Niche uski maa aur uska bhai baithe hote hain
Harsh aake apni maa ke paas baith jaata hai uske chehre pe laggi choot dekh kar nirmala ji uss se puchti hain
Nirmala:-ye chehre pe kya huya hai yeh choot kaise laggi
Harsh sparsh ki taraf dekhne lagta hai aur phir apni maa ki taraf dekhte huye jawab deta hai
Harsh:-kuch nahi maa bus girr gaya tha
Nirmala:-hye bhagwan dhyn se chala karo beta agar jayda choot lagg jaati toh
Harsh:-mai bilkul thik hoon maa aur mai apse kehna aaya tha ki aj mai bus se clg jaunga driver bhaiya ko manna kar dijiye
Isse pehle ki nirmala ji kuch kehti sparsh bol padta hai
Sparsh:-kyu unke saath tujhe kya dikkat hai itna bada hogya hai ki apni marji krega
Harsh:-mai maa se baat kar raha hoon bhaiya aur mai 20 ka hoon itna toh apni marji sw kar he sakta hoon jab ap iss umar mein the ap toh akele bhopal takk ghoom aaye the apko toh kisi ne nahi rooka
Sparsh ka gussa satwe aasmaan par chala jaata hai
Angath jo door se khada sab dekh raha tha usse darr tha ki sparsh harsh pe haath naa utha de warna usko rokne ke liye usse niche jaana hoga
Sparsh uthke harsh ke samne jaata hai
Sparsh:-ab tu mujhse jubaan ladayega lagta hai tu bhool raha agar mai chahoon toh 2 minute mai teri yeh saari hekri nikal sakta hoon
Nirmala:-sparsh je konsa tareka hai apne choothe bhai se baat karne ka
Sparsh:-je mera kuch nhi lagta apke liye hoga je apka beta mere liye je uss aurat ka ganda khoon he hai
Nirmala:-sparsh!!!!!
Je sunte he harsh ke ankhoon se anshoon chalak jaate hain
Sparsh:-galt he kya kaha mene apna paap humare gale dal ke chali gayi upper se papa ko bhi na jaane kya humdardi thi iss se jo aadha business iske naam kar diya
Itna kehne ki der thi ki harsh roota huya apne kamre ki tarf bhaag jaata hai
Nirmala:-sparsh hosh mein bhi ho kya jarurat thi yeh sab bolne ki tumhare liye nahi hoga woh kuch lekin mere liye woh hai paala hai usse mene jo pyaar tumhe diya hai wahin usse diya hai aj ke baad yeh baat apni jubaan pe matt laana warna mujhse burra koi nahi hoga.....
Harsh ke room mein
Harsh laggataar roo raha tha angath usse sambhalne ki behadh kosish kar raha tha lekin jab dard insaan ke andar dard hota hai toh usse sambhalne wale ko khud uss dard ka bhaagidarr bann'naa padta hai
Nirmala ji darwaze pe aake kab se khatkhata rahi thi lekin harsh koi jawab he nahi de reha tha
To be continued
Comments
Post a Comment